26 दिस॰ 2019

Blog Se Broken Link Check/Remove Kaise Kare - 2019

blog se broken link check/remove kaise kare





hello dosto aaj me apko blog se broken link remove kaise kare iske baare me batane wala hu aaj me apko bataunga ki kaise ap apne blog and website se broken link check kar ke usko remove kar sakte ho




dosto agar ap bhi ek blogger he to apko apne blog par search engine se traffic lene ke liye apne blog ko seo friendly rakhna bhaut jaruri he apke blog me broken link he to he search engine ke najariye se yaha sahi nahi maana jata broken link ki waje se search engine ka effect apke site par padta he apki ranking down ho sakti he aur iski waje se apki traffic par bura aasar ho sakta hai


broken link kya hai ?


dosto broken link usse kaha jata he jis link par click karne se 404 error aata he ya fir koi aur error show hota he broken link ka matlab aisi link jo dead link hoti he usse open karne par uss link me jo jankari he wo show nahi hoti uski wajaye 404 ka error show hota he


dosto broken link waise to bhaut tarike ke hote he jaise 404,501,timeout,bad host, e.t.c
seo ke najariye se isko remove karna bhaut jaruri hota he



dosto broken link generat kaise hota he and isko remove kaise kare isko jara jaan lete he broken link apke old link me badlaaw karne ki waje se ho sakta he matlab apne koi post likha and usme kuch dino ke baad uss likhe hue post me apne badlaaw ka kuch changes ki to wo apki old link google se remove ho sakti he and uski jaga par 404 not found aajata he iss tara se apke blog par broken link generat hoti he


broken link check kaise kare


sabse pahale apke blog me kitne broken link he isko check karna jaruri he me apko niche step by step bataunga ki broken link check kaise kare



step 1: sab se pahale ap brokenlinkceck iss link ko click kar ke visit kijiye


step 2: ab apke saamne ek new page open hoga niche screenshoot me ap dekh sakte ho

broken link check kaise kare


step 3: ab apko side me dikhai de rahe box me apne blog/website ka url daalna he

ex. http://example.com/

step 4: blog link daalne ke baad niche dikh rahe (find broken link) button par click kijiye

step 5: button par click karne ke baad ek new page open hoga


1. Enter your URL: blog ka url daaliye

2. Security code: side me dikh rahe code ko box me type kijiye



itna karne ke baad "find broken links now" par click kijiye apke saamne wo saare broken link show hoge jo apke blog or website me maujud he iss tara se ap apne blog me kitne broken link hai check kar sakte ho


abhi me iss broken links ko remove kaise kare iske baare me bataunga niche



blog se broken link remove kaise kare


dosto broken link ko remove karna bhaut aasan he apko sab se pahale uss broken link ke url ko fine kar ke usse apne clip board me copy karna hai




Broken URL Check kaise kare iske baare me abhi maine apko bataya he ap screenshoot me dekh sakte ho jaha url likha hua he uss par click kijiye apko wo url mil jayega jo broken url hai


Step 2: Dosto URL copy karne ke baad search console par jaiye ya fir sidha iss URL Removal link par click kar ke ap link romove waale tool par jaa sakte ho


blog se broken link remove kaise kare


step 3: dosto abhi apne jo broken link copy ki thi usko iss box me paste kar dijiye and uske baad "jaari rakhe" par click kijiye apka broken link google se remove ho jayega

dosto ap iss tara se blog se broken ko ko bhaut aasani se remove kar sakte ho search console ki help se



dosto aaj maine apko blog se broken link check kaise kare aur broken link ko remove kaise kar iske baare me bataya he ap upar batai gai jankari se aasani se apne blog se broken remove kar sakte ho



Naresh Suryawanshi
Naresh Suryawanshi

This is a short biography of the post author. Maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec vitae sapien ut libero venenatis faucibus nullam quis ante maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec.