play store ki paid/premium apps free main download kaise kare
Hello dosto aaj main apko aisi trick batane waala hu jisse ap play store se koi bhi paid app ko free main download kar sakte ho ji ha dosto main apko iss post main yahi bataunga ki kaise ap play store ki paid/premium app ko free main download kar sakte ho
play store par apko aisi bhaut si apps dekhne ko milti he jo free ke saath paid matlab premium bhi hoti hai uss app ko apne mobile me install karne ke liye apko usse pahale buy karna padta hai aise bhaut se app hai play store par jo paid/premium version me hote hai aur uss app ko bina buy kiye ap use nahi kar sakte
Play store par jada apps to free ke hi hai aur log free apps hi sab se jada download karna pasand karte hai aur usse install karna bhi aasan hota hai paise dene ka problem nahi hoti usme lekin kuch app paise de kar bhi install kiye jaate hai usme free app ki tulna me jada profite milta hai user ko
Paid apps ki Qualitys
Dosto pahale ye jaana bhaut jaruri hai ki paid or premium apps main aisa kya hai jisss log paise de kar upayog karte hai ussme kuch to aisi baat hogi jisse log unko kharidte hai apne dekha hoga kahi apps ke free version bhi hote hai aur pro version bhi hote he dono me jada diffrent bhi nahi hota wahi work dono me hota hai free apps ka paid version log download karte hai iske kuch resion hai jo niche bataye gaye ha
(1) no ads:- first reasion hai ads na hona matlab paid apps log isliye bhi download karna pasand karte hai ku ki usme ads nahi aate hai aur free waale version main bhaut jada ads aate hai jisse user ko app use karne me problem hoti hai isliye user paid app download karna pasand karta hai
(2) new features:- second reasion hota hai uske andar ke features jo free app me nahi hote usko use karna hai to paid app download karna padta hai isliye bhi paid app ko download karte hai user ku ki premium app main bhaut saari khaashiyat hoti hai
Kaise download kare paid/premium app free main
aptoide website ek aisi website hai jo play store ki koi bhi paid app free main download kara ke deti hai main apko niche step by step batunga ki iss website se kaise paid app ko free main download kare
Step 1:- sab se pahale aptoide website ko open kijiye jaise hi ap website par jawoge to ek search box dikhai dega niche ap image me dekh sakte ho
Step 2:- second step main apko uss search box main uss app ka name daalna hai jisse ap download karna cahate ho jaise muje puffin browser pro app ko free main download karna hai play store se isliye main puffin browser pro name daalunga apko wahi app ka name daalna hai jisse download karna cahate ho ap
uske baad apko uss application ka logo show hoga aur uske niche download ka button dikh jayega apko aur ap upar ki image me dekh sakte ho waisa hi download button apko dikhega uss downoad button ko press kar ke apps ko download kar sakte ho
Dosto puffin browser play store par apko 430 Rs. main milega iska rate 430 Rs. hai lekin maine aptoide site se isko free main download kiya hai maine pic art ke pro version ko bhi download kiya hai aur use bhi karta hu ap bhi aasani se isse use kar sakte ho
Dosto iss tara se ap play store ke kisi bhi paid/premium app ko free main download kar sakte ho apko ye trick kaisi lagi agar aachi lagi to apne frds ko bhi facebook, twitter and whatsapp par share kar ke iss trick ke baare me bataiye