2 अग॰ 2019

Baby Ka Weight (वजन) Kaise Badhaye Top 10 Tips

baby ka weight (वजन) kaise badhaye top 10 tips in hindi


baby ka weight (वजन) kaise badhaye


Hello dosto aaj main apko baby ka weight kaise badhaye iske baare me batane wala hu baby ka weight (वजन) badhane ke tarike aur uski puri jankari main apko iss post main bataunga




weight badhane ke tarike bhaut se hai lekin jab baat baby (शिशु) ki aati hai tab koi bhi kaam hame bhaut hi sensitive tarike se karna padta he baby ke sharirik aur mansik vikas ke liye vajan badhane ka sahi tarika jana bhaut jaruri hota hai



Baby ka (वजन) badhana kyu jaruri hai


weight badhane ki jarurt tab hoti he jab baby khana nahi khata ya fir usko khane me ruchi nahi he and agar baby thik se khana nahi khayega to isse bhaut saare problem bhi ho sakti he maansik and sharirik vikas baby ka aache se nahi ho payega health aachi nahi rahegi aur bhi bhaut se problem ko face karna pad sakta he isliye baby ka weight badhana bhaut jaruri hai




Baby ki age:-  dosto main apko yaha 6 to 12 aur 4 to 15 age ke baby ka weight badhane ke tips dunga ku ki yahi samay hota he bacho ko sahi tarike se develop karne ka apko agar bacho ko sahi tarike se swast and fit rakhna he to 6 month se lekar 4 year tak unka dhyan rakhna jaruri hai (main koi doctor to nahi hu lekin ek fitness teacher hu baby ke weight se lekar growth badhane ke sahi tarike me janta hu



Baby ka weight badhane ke 10 tarike


Main apko niche baby ka weight badhane ke top 10 tips or tarike bata raha hu jisse apko follow karna he tabhi ap apne baby ka weight badha pawoge aache se




(1) ground games:- aajkal sab bache mobile par game khelte he ground par jakar nahi khelte agar bache bahar ground par jakar games khele jab wo bahar run karega kudega to uski energy kam hogi and usse jaldi bhuk lagne lagegi to unka sharirik vikas bhi hoga aur weight bhi badhega iss tarike se




(2) avoid oily food:- main aache se janta hu oily food se fat jaldi badhta he lekin main baby ke liye he recommended nahi karunga ku ki aajkal ke jo oil market main aarahe he wo human body ke liye bhaut harmfull hote he baby ke body ke liye to aise oil bhaut jada hamfull he isse weight to badhega lekin health kharab ho jayegi




(3) use ghi in food:-  oil se 10 x jada aacha aacha hai ghi ap baby ko jo bhi khana khilate ho usme oil ki jaga ap ghi ka use kijiye isse vajan dungni teji se badhega aur isse baby ki health bhi thik rahegi ap poli banate wakt oil ki jaga ghi ka use kijiy (ghi ka use 6 month ke upar waale baby ke food me hi kare)




(4) milk:- baby ko roj full 1 glass kesar daal kar milk pilane se 10 din ke andar baby vajan me apko farak dekhne ko milega ku ki milk main iron, protin jada maatra me hote hai milk weight badhane me bhaut faydemand hota hai isliye ap baby ko daily subha aur raat main milk pilana mat bhuliyega




(5) badam:- bhaut jaruri he baby ke weight badhane ke liye ap roj 4 se 8 badam bhigo kar khilaye ap isko milk ke saath bhi de sakte ho baby ko jaise bhi ap usse 4 se 8 badam roj khila dijiye




(6) panir, batar, ghi:- dosto inn sab chijo me fat bhaut jada maatra main hota hai batar aur ghi ka use kar ke ap khane ki chije bana kar baby ko khilayege to isse apko fayda jarur dekhne ko milga ap jo bhi khana banaye usme panir, batar aur ghi ka jarur use kijiye




(7) roll bana kar khilaye:- aksar little baby ko khane se nafrat hoti he wo apne mann se khana nahi khate unko jabardasti khilana padta he lekin agar ham kuch uniq kare to wo jarur khayege aksar dekha gaya he kisi baby ko ap roti and sabji round kar ke do wo pura kha leta he usko ap isse ek baar jarur try karna




(8) khana khilane ka time:- jab ap baby ko khana khilawo to thoda thoda kar ke khilawo khana khilane ka sahi time nahi rakhna apko aur ek hi baar jada mat khilana thoda thoda kar ke khilana isse vajan teji se badhega




(9) sweet and namkin:- baby ko sweet to pasand hota hi he sweet aur namkin foods main fat jada hota he ap baby ke khane main sweet aur namkin ko bhi add kijiye jaise sweet main halwa aur namkin main papda, shev e.t.c lekin isko limit me hi khilaye jada mat khilana




(10) Doctor ko dikhaye:- agar apne upar bataye hue 9 tips follow kiye lekin fir bhi baby ka  वजन na badhe to ap ek baar baby ko doctor ke paas jarur le jaaye kahi baar health thik na hone ki waje se ya kuch aur problm bhi waje se bhi baby ka weight nahi badhta isliye ap doctor se jarur mile




So maine aaj apko baby ka weight (वजन) kaise badhaye iske baare main puri jankari batai he ap isko follow kar ke baby ka weight aasani se badha sakte ho
apko he jankari aachi lagi to isse share jarur kare
Naresh Suryawanshi
Naresh Suryawanshi

This is a short biography of the post author. Maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec vitae sapien ut libero venenatis faucibus nullam quis ante maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec.