27 जून 2019

Blog Post Ka Font Size Change Kaise Kare Css Coding Se

Blog post ka font size change kaise kare css coding se


blog post ka font size change kaise kare css coding se


Hello dosto main apko aaj iss post me bataunga ki kaise ap apne blogger post ka font size change kar sakte hai wo bhi css coding se kuch hi few second main bhaut hi simple tarika main apko aaj bataunga aur aise css code dunga jisse ap apne blog ka font size change kar sakte hai




Dosto blogging karte wakt hame bhaut si chijo ka dhyan rakhna padta hai jaise hamare likhne ka tarika and artical SEO friendly hona bhi jaruri hai iske saath hi ek chij bhaut jaruri hoti he aur wo hai hamare blog post ka look ji ha dosto ham jitna bhi aacha artical likhe agar hamare artical ka font aacha na ho font size balance me na ho to visitor apki site ko jada like nahi karege





Agar apke blog post ka font jarurt se jada bada hai ya jarurt se jada chota hai to isse apke visitors ko apka blog post padhne me problem ho sakti hai aur ho sakta he wo baad me apke blog ko visit na kare isliye bhaut jaruri hai font ki size par dhyan dena aur saath me font style bhi jaruri hota hai jisse apka blog post aur bhi attractive dikhega





Main jo tarika apko batane wala hu usme na apko apne blog tenplate main changes nahi karna hai apko bas niche diye gaye css code ko apne blog template ke css ke andar daal dena hai dosto ye tarika main blogspot blogger ke liye bata raha hu wordpress ke liye nahi


Blog post ka font size change kaise kare



Lekin abhi ham font size ki baat kar rahe hai to me apko isse change karne ka tarika bata deta hu niche step by step aur apko unn step ko follow karna hai bas




(1) step 1:- first apko blog ke deshbord me jana hai uske baad theme>>customize par click karna hai fir ek new tab open hoga



(2) step 2:- new tab main apko apki theme dikhai degi aur uske upar ek black tabel dikhai dega niche image me dekh sakte hai



(3) step 3:- image main bataye gaye tarike se apko advance par click karna hai uske baad apke saamne 2 options aayege ek theme colour aur dusri css



(4) step 4:- apko css par click karna hai apke saamne ek box open hoga white colour ka apko uss box main niche diya gaya css code daalna hai


body {
 font-family: 'Arial', serif;
}
.post-body{font-size:16px;}


Dosto abhi code ke andar agar apko koi changes karna hai jaise font ka size 16 ki jaga 18 karna hai ya fir 15 karna ho to ap font size ke aage jo 16 hai waha ap apne hisaab se size daal sakte hai




Maine font family ka bhi css code saath main diya hai agar apke font style aacha nahi hai to ap usse bhi iss css code se change kar sakte ho font style change karne ke liye apko code main dikh rahe font family ke aage apne pasand ka font family name daalna hai jaise maine ''Arial'' daala hai aur mere blog par bhi wahi font family hai




Aur agar apko font style nahi cahiye sirf font ka size change karna hai to ap niche diye gaye css code ko copy kar ke css box main daal dijiye


.post-body{font-size:16px;}


Itna hi daalna hai apko fir apke blog post ka font size change ho jayega aur usko ap apne hisaab se change kar pawoge




Dosto maine aaj apko blog post ka font size change kaise kare css coding se iske baare main bataya hai ap iss trick ko jarur use kare aur social media par apne dosto ko bhi iss post ko share kare

Naresh Suryawanshi
Naresh Suryawanshi

This is a short biography of the post author. Maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec vitae sapien ut libero venenatis faucibus nullam quis ante maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec.