11 जून 2018

Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete hai 2018

Android mobile me screenshot kaise lete hai

Android mobile me screenshot kaise lete hai


Hello frds aaj me iss post me apko android mobile me screenshot kaise lete hai ke baare me batane wala hu me apko android mobile me screenshot lene ki puri jankari iss post me apko batane wala hu to chaliye jante hai android mobile main screenshot kaise lete hai



dosto kya aap jante hai aaj billion logo ke paas android mobile hai lekin bhaut se android users ko android mobile ke kuch khaas features ka pata nahi hota jaise ki mobile me screenshot kaise le iske baare me bhi bhaut se users ko jankari nahi hoti hai isliye to aaj me apko batane wala hu ki android mobile me screenshot kaise lete hai



Hame screenshot lene ki jarurt tab hoti hai jab facebook or whatsapp par hame kisi post ka or msg ka screenshot lene hota hai aur tab hame he pata nahi hoti ki mobile me konsa button dabane se screenshot hota hai waise dosto screenshot kaise lete hai android mobile me ye sawaal jitna mushkil hai utna hi aasan iska solution hai jo maine abhi apko niche batane wala hu


Dosto me apko screenshot lene ki jo trick batane jaa raha hu us trick se aap kisi bhi android mobile me screenshot le sakte ho for example:- jaise kis ke whatsapp message ka screenshot lena ho ya fir apke frd ke facebook post ka screenshot lena ho to aap niche batai gai trick se le sakte ho


Android mobile me screenshot kaise lete hai


Me apko niche step by step android mobile me screenshot kaise le ki trick bata raha hu apke android mobile ka version 4 ya isse upar ka he to niche diye gaye step ko follow kijiye



Step1 :-  first apko us page par jana hai jiss page ka apko screenshot lena hai jaise apko agar kisi ke facebook post ka screenshot lena ho to aap facebook par jakar apko niche bataya hua second step ko follow karna hai



Step 2 :-  android version 4 or isse upar ke version ke mobile me screenshot lene ke liye apko apne mobile ke do button ko ek saath dabana padega apko apne mobile ke power/lock button ko (jis button se aap mobile swtichoff karte ho wo wala button) aur volume/down button (jisse aap volume ko kam jada karte ho) wo waala button apko he dono button ko ek saath dabana hai aap jaise hi power/lock button aur volume/down button ko ek saath daba kar 3 se 4 second tak wait karoge to apke post ka screenshot ho jayega



To iss tara se aap kisi bhi android mobile me screenshot le sakte ho maine apko mobile me screenshot lene ki 100% working trick ke baare me bataya hai iss trick se aap mobile le kisi bhi page ka screenshot le sakte ho

● Psiphon pro lite handler se free internet kaise chalaye

● Android Mobile Ki Internet Speed 10 Mb Per Second Kaise Kare 2018 Trick

Dosto me apko niche samsung mobile me screenshot kaise le ke baare me bhi batane wala hu ku ki bhaut se log samsung mobile me screenshot lene ka tarika nahi jante aur dusre company ke mobile se samsung mobile ka screenshot lene ka feature thoda alag hai me apko niche samsung mobile me screenshot kaise le ki trick bhi bata raha hu



Android mobile me screenshot kaise lete hai


Samsung ke android mobile me screenshot lene ke liye apko upar batai gai trick hi follow karni hai lekin iss trick me apko thodi si changes karni hai jo ki me apko niche bata raha hu to chaliye jante hai samsung mobile me screenshot kaise le ke baare me


Apke wo page par jana hai jiska ap screenshot lena cahate ho aur us page par jaane ke baad apko samsung mobile le power/lock button ko aur home ke button ko ek saath 3 se 4 second tak daba kar rakhna hai apke page ka screenshot ho jayega 



To iss tara se aap apne samsung mobile me bhi screenshot le sakte ho



Dosto maine apko iss post me android mobile me aur samsung ke mobile me screenshot kaise lete hai ke baare me bataya hai apko is post me batai gai android mobile me screenshot kaise lete hai ki trick kaisi lagi muje comment karke jarur bataye



















Naresh Suryawanshi
Naresh Suryawanshi

This is a short biography of the post author. Maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec vitae sapien ut libero venenatis faucibus nullam quis ante maecenas nec odio et ante tincidunt tempus donec.